na ho gar dhyan mein chehra kisi ka bahut mushkil safar hai zindagi ka gali-kuche bahut raushan hain lekin gharon mein masala hai raushni ka chunun palkon se kab tak sang-reze khudawanda koi aansu khushi ka zamin sadiyon purani ho chuki hai sahegi bojh kab tak aadmi ka na-jaane aur kitna fasla hai hamari zindagi se zindagi ka koi khud se mujhe kamtar samajh le ye matlab bhi nahin hai aajizi ka talab ne chhin li binai khawar karun kya rah ki main raushni ka