mausam-e-hijr ke aane ke shikayat nahin ki

mausam-e-hijr ke aane ke shikayat nahin ki
ai mere dil tujhe kya ho gaya wahshat nahin ki

koi ilzam koi tanz koi ruswai
din bahut ho gae yaron ne inayat nahin ki

lafz ke shauq mein aisa bhi maqam aaya hai
juz kisi sher ki aamad koi hasrat nahin ki

jis ke nashshe mein koi hijr guzar aae hain
wo ghadi wasl ki hum ne kabhi rukhsat nahin ki

ab tujhe kaise bataen ki teri yaadon mein
kuchh izafa hi kiya hum ne khayanat nahin ki

sare mear wafaon ke nibhae hum ne
us ko chhoda to bahut soch ke, ujlat nahin ki

ishq dariya bhi samundar bhi kinara bhi halim
dubne wale ko dekha hai to hairat nahin ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close