kanar-e-chashm se abru tak aa gaya kajal ki aaj sehn-e-haram mein utar gae baadal nigah-e-shauq gai jab bhi khush-libason tak durust ho gain zulfen sanwar gae aanchal na puchh husn ke andesha-ha-e-ruswai zahe junun ki jise yaad maslahat na mahal magar kisi se numaindagi-e-haq na hui sanam-kade ne tarashe hazar lat-o-hubal ba-sad-nashat hain wo mujh pe mehrban 'mani' nazar nazar mein tarana nafas nafas mein ghazal