mehrban mujh pe ho ai rashk-e-qamar aaj ki raat

mehrban mujh pe ho ai rashk-e-qamar aaj ki raat
aa mere chand ke tukde mere ghar aaj ki raat

rah bhul aaya hai ek chand idhar aaj ki raat
kaisi ghar baithi hai daulat mere ghar aaj ki raat

yar aaya nahin kyun kar ho basar aaj ki raat
ta-qayamat nahin hone ki sahar aaj ki raat

aap se aap wo aae mere ghar aaj ki raat
din-o-duniya ki nahin mujh ko khabar aaj ki raat

kyun khafa mujh se hai wo rashk-e-qamar aaj ki raat
badli badli nazar aati hai nazar aaj ki raat

ai sanam bahr-e-khuda aap hi laen tashrif
putliyon ka hai tamasha mere ghar aaj ki raat

sadgi hai teri pariyon ki banawat se siwa
subh ho jaegi itna na nikhar aaj ki raat

zulf suljhate hue pyar se wo dekhte hain
kya main ho jaunga manzur-e-nazar aaj ki raat

meri gustakhi na yaad aae ilahi hargiz
un ko bekal na kare fikr-e-kamar aaj ki raat

mang moti se bhari hai na chadho kothe par
tum ko lag jaegi taron ki nazar aaj ki raat

lailatul-qadr hai ye ya shab-e-mearaj hai ye
yar ke zanu pe apna jo hai sar aaj ki raat

wasl ek parda-nashin se hai na ho ghair ka dakhl
shama tak aae na parwane ka par aaj ki raat

mehman aap bas itna hi rahen mere ghar
kal ka roz aaj ka din chaar pahar aaj ki raat

kal na dunga tujhe taklif kuchh aisi wallah
khol de band-e-qaba sharm na kar aaj ki raat

jalwa kya khub hai mahtabi ka mahtabi par
lutf-e-mai-noshi hai ai rashk-e-qamar aaj ki raat

bagh-o-mai chandni aur wasl-e-pari hai mujh ko
pite hain mere adu khun-e-jigar aaj ki raat

gul-badan pahne hain wo mahram-e-kamkhab nahin
nind aane ka mere dil mein hai dar aaj ki raat

kis zaban se ho bayan aao gale lag jao
dil se dil hi sune kuchh dard-e-jigar aaj ki raat

bakht-e-be-dar se wo chand mere hath aaya
aasman tak hain mere dast-nigar aaj ki raat

hath se zulf wo suljhaen to ho jaun nihaal
dekh lun nakhl-e-tamanna ke samar aaj ki raat

aashiq-e-abru ko kya qatl karoge nadan
nannhi talwar jo hai zeb-e-kamar aaj ki raat

yar ki zulf-e-zar-afshan mujhe yaad aati hai
kya hi sine se nikalte hain sharar aaj ki raat

bashkan-o-bashkan mina ki sada ko sun kar
aane pae na kahin mim basar aaj ki raat

gore galon se na sarkao siyah-zulfon ko
khauf hai mujh ko na ho jae sahar aaj ki raat

aashiq-e-zulf ko do bosa-o-khatt-o-abru
mushaf-e-rukh pe likhun zer-o-zabar aaj ki raat

raqs is zohra-jabin ka hai adu ke ghar mein
mehr mizan mein hai aqrab mein qamar aaj ki raat

hath wo jodte hain sar hai mera qadmon par
ho na samjhane manane mein sahar aaj ki raat

khufta-bakhti se ilahi ye kahin so jaen
topchi zahid-o-murghan-e-sahar aaj ki raat

gul-e-shabbu hai laja lo gul-e-sudi hai gulab
sharm-o-ghussa hai araq mein wo hain tar aaj ki raat

aasman par hai dimagh ab nahin milne ke 'nasim'
mehrban un pe hai ek rashk-e-qamar aaj ki raat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close