kanar-e-dasht akele thaharne par hoga dilon mein khauf ka andaza darne par hoga samajhta hai meri aadat wo husn-e-be-parwa samet lunga use jab bikharne par hoga payam de na saki gul ka bu-e-sust-khiram na jaane ab kahan mausam guzarne par hoga kahin pe kai kahin habs aur kahin daldal ye haal shahr ka pani utarne par hoga main sochta hun darakhton ki chhanw mein 'shahin' ki tai tamam safar sirf karne par hoga