wo jo sarf-e-nigah karta hai is tamashe ka ek hissa hai ek andhera hun sar se panw tak phir ye pahlu mein kiya chamakta hai ek din un ko zinda dekha tha jan buzurgon ka ye asasa hai shahr-e-matam ki is bala se na dar aaina bhi tilism rakhta hai kis ke pairon ke naqsh hain mujh mein mere andar ye kaun chalta hai naqsh hai kaun aasmanon mein in zaminon mein kis ka chehra hai main ne banjar dinon mein kholi hai aankh main ne pedon ko marte dekha hai