khatm shor-e-tufan tha dur thi siyahi bhi dam ke dam mein afsana thi meri tabahi bhi iltifat samjhun ya be-rukhi kahun is ko rah gai khalish ban kar us ki kam-nigahi bhi us nazar ke uthne mein us nazar ke jhukne mein naghma-e-sahr bhi hai aah-e-subh-gahi bhi yaad kar wo din jis din teri sakht-giri pur ashk bhar ke utthi thi meri be-gunahi bhi pasti-e-zamin se hai rifat-e-falak qaem meri khasta-haali se teri kaj-kulahi bhi shama bhi ujala bhi main hi apni mahfil ka main hi apni manzil ka rahbar bhi rahi bhi gumbadon se palti hai apni hi sada 'majruh' masjidon mein ki main ne ja ke dad-khwahi bhi