kanch ka tukda pada tha dasht mein ya mera chehra pada tha dasht mein lag raha tha wasl ki tadfin hai hijr yun bikhra pada tha dasht mein us ke qadmon ke nishan mahfuz the yun laga rasta pada tha dasht mein mere andar thal basa tha ishq ka so mujhe aana pada tha dasht mein dasht bhi sare ka sara mujh mein tha main bhi to sara pada tha dasht mein ek tanhai bichhi thi ret par aur main tuta pada tha dasht mein bhid mein mujh se dilasa gum hua main ne jab dhunda pada tha dasht mein dosti bhi shaeri bhi ishq bhi mera har rishta pada tha dasht mein partaw-e-khurshid dhundlane laga chand ka saya pada tha dasht mein sirf meri hi kami thi ai 'safi' jo bhi tha waisa pada tha dasht mein