naza ki hichki mariz-e-hijr ki dam-saz hai

naza ki hichki mariz-e-hijr ki dam-saz hai
sunne wale ghaur se sun aakhiri aawaz hai

lakh ai zahid nishat-e-jaan iram ka raaz hai
jalwa-gah-e-naz phir bhi jalwa-gah-e-naz hai

kaun jaan-e-arzu mahw-e-khiram-e-naz hai
zarra zarra mere dil ka farsh-e-pa-andaz hai

mukhtalif naghme hain lekin ek hi aawaz hai
hasti-e-dil ek nairang-e-tilism-e-saz hai

be-niyaz-e-jazb-e-ulfat intiqam-e-ishq dekh
dil tha pahle bazm mein ab dil hi bazm-e-naz hai

dekh kar pamal karna meri turbat ki zamin
qabr hai zalim magar qabr-e-shahid-e-naz hai

jin ko arman hoga un ko hoga arman did ka
zarra zarra apne dil ka jalwa-gah-e-naz hai

zindagi us ki hai maut us ki hai turbat us ki hai
jis ki khak-e-dil pe wo mahw-e-khiram-e-naz hai

ab kahan wo naghma-e-dil ki sada-e-jaan-nawaz
bolne wala jo parda tha wahi be-saz hai

fikr-e-azadi ko ai sayyaad aazadi samajh
ye tadapna dil ka bhi minjumla-e-parwaz hai

ai mere tute hue dil ki sada-e-muntashir
dekh jo hai jis jagah par gosh-bar-awaz hai

is se pahle dil liya tha tum ne jis andaz se
aaj bhi kya baat karne ka wahi andaz hai

umr guzri maut aai ban ke anjam-e-hayat
aur abhi tak ishq ka aaghaz hi aaghaz hai

jaan barbaad-e-tamanna dil kharab-e-arzu
har-nafas rah-e-talab mein naghma-e-be-saz hai

aashiyan wale khudara kar na zikr-e-ashiyan
patta patta gulsitan ka gosh-bar-awaz hai

naghma-e-roz-eazal tere tarannum ke nisar
sunne wala aaj bhi mahw-e-sada-e-saz hai

dard ko rakhte hain sine mein chhupae har ghadi
kya kahen 'afqar' kisi se dil ka apne raaz hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close