khaksari se tu iksir se aage badh ja wo zamin ban ki falak-e-pir se aage badh ja umr bhar jis se giraftar-e-mohabbat na chhuten zulf-e-jaanan tu hi zanjir se aage badh ja dard dekhe jo tujhe dekh ke sar ko patke gham-o-andoh ki taswir se aage badh ja ai siyah-bakhti teri khu hai agar badhne ki yar ki zulf-e-girah-gir se aage badh ja nala-e-nim-shabi ko hai meri ye takid kat mein burrish-e-shamshir se aage badh ja mizha-e-yar ka abru se ishaara hai yahi tujh mein taqat hai agar tir se aage badh ja tu hi ai aah-e-rasa arsh-e-mualla pe pahunch tu hi ab nala-e-shabgir se aage badh ja panw pichhe na hata manzil-e-maqsud pakad jo mile tu usi rahgir se aage badh ja tujh ko ai gardish-e-kaunain mere sar ki qasam tu meri gardish-e-taqdir se aage badh ja hai nazar-baz agar kar tu nazara us ka yar ke husn ki tanwir se aage badh ja zindagi chahe to ho ja tu aziz-e-har-dil zaiqe mein shakar-o-shir se aage badh ja