kanon ko hai bhai hui taqrir kisi ki aaankhon mein samai hui taswir kisi ki kuchh ishq mein chalti nahin tadbir kisi ki sar phod jo rah jae hai taqdir kisi ki har zarre mein hai jalwa har ek qatre mein hai aab hai arsh pe chhai hui tanwir kisi ki andaz buton ke nahin aate hain nazar mein rahti hai nigahon mein jo taswir kisi ki khat padh ke kahin aur bigad baithe na yarab yaad aai hai abru dam-e-tahrir kisi ki ye girya-o-zari dil-e-betab kahan tak ruswa kahin ho jae na taqsir kisi ki ek muntazir-e-did ki pathra gain aankhen takhir kisi ki hui tazir kisi ki main fakhr se kahta hun mujhe tum se hai ulfat badhti hai tere nam se tauqir kisi ki rukh pher magar sar na hile dekh ki zalim atki hai teri zulf mein taqdir kisi ki mehman hai koi din ke, chale jaenge 'rahbar' baithenge nahin dab ke jagir kisi ki