kuchh na puchho ru-ba-ru ja kar kisi ke kya hua tiktiki bandhne na pai thi ki dil chalta hua le gai dil ko kisi ki ek nigah-e-awwalin main kisi ke husn par yak-bargi shaida hua us lab-e-shirin pe mera ek bar aaya jo nam main ye samjha khushtari pahlu-e-qismat wa hua haal-e-hijran puchhte kya ho ki surat dekh lo saf zahir hai mariz-e-gham gaya-guzra hua hun sarapa majma-e-ummid-o-yas o intizar dhire dhire chal raha hai yak-nafas rukta hua rah kya sujhe mujhe duniya meri tarik hai hai kisi zulf-e-siyah mein dil mera uljha hua aql ka tha pher apni jo unhen samjha tha ghair wo to bilkul jaan-e-jaan hain raaz ye ifsha hua tum meri taqdir mein ho aur phir kya chahiye kaun sa matlab raha phir jo nahin pura hua mujh ko samjhaya nahin naseh udhar mat jaiyo phir kahoge lut gae ham, dil hamara kya hua hum to hain maddah us ke hum ko sab manzur hai jo hua us ne kiya, jo kuchh hua achchha hua un ko pane se gharaz thi kuchh na tha duniya se bair mil gae wo hum ko duniya hi mein aur achchha hua aashiqi rahbar se sikho sar karo manzil ba-khair us ka hai ye rasta achchhi tarah dekha hua