tujhe rahe na rahe rabt-e-bahami ka khayal magar mujhe to hai aadab-e-dosti ka khayal tadap raha tha teri bazm-e-naz mein lekin kisi ne bhi na kiya meri bebasi ka khayal pahunch sakega wo kis tarah apni manzil tak jise zara bhi na ho apni kajrawi ka khayal mujhe yaqin hai pa lega manzilon ke nishan wo karwan ki na ho jis ko gumrahi ka khayal milo to dost bano warna sazishen hi karo ki dosti mein na shamil ho dushmani ka khayal rah-e-hayat mein hum to abhi hain nau-amoz khuda kare ki na paida ho rahbari ka khayal 'kamal' jaise jahan honge chand ahl-e-junun na kar sakega wahan koi khud-sari ka khayal