khanqah-o-dair mein jate hain hum dhundhte jo hain nahin pate hain hum jab se uryani hua apna libas jame se bahar hue jate hain hum aur badhta hai unhen shauq-e-jafa aankh mein aansu jo bhar late hain hum wo jafa kar ke nahin hote khajil yan gila karne se sharmate hain hum hum se badh kar koi diwana nahin dil se diwane ko samjhate hain hum