kisi ki aankh mein kya ek pal guzar aaya

kisi ki aankh mein kya ek pal guzar aaya
main apni zist ke ranj-o-alam utar aaya

wo jis ke nam pe hum manzilen fida karte
hamein wo shakhs kahin rah mein hi mar aaya

shab-e-firaq se kah dale dard duniya ke
kahan ka bojh tha aur main kahan utar aaya

ki meri tira-shabi mein koi charagh jale
main is khayal se raaten kai guzar aaya

so ab to dhoka hi khana mera muqaddar hai
ye kis jagah pe mujhe le ke eatibar aaya

majal-e-tark-e-talluq na ho saki warna
khayal-e-tark-e-talluq to bar-bar aaya

udas kamre ki wahshat ki khair ho ya-rab
hum aise dasht-nawardon ko bhi qarar aaya

main ek umr se apni mukhalifat mein hun
main kya karunga agar us taraf se war aaya

hum ek sahn mein pal kar bade hue hain 'fahim'
shajar pe bor to kandhon pe mere bar aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close