mahfil mein hum the is taraf wo shokh chanchal us taraf thi sada-lauhi is taraf makr-o-fusun chhal us taraf baithe hum apne dhyan mein baitha wo apni aan mein fikr-e-nazara is taraf mukhde par aanchal us taraf kya kya dikhati hai alam kya kya rakhe hai pech-o-kham aahon ki shorish is taraf zulf-e-musalsal us taraf hum de ke dil hain ranj-kash wo le ke dil hai ji mein khush be-tabi-e-jaan is taraf rahat khushi kal us taraf aaj us se milne ko 'nazir' ahwal hai dil ka ajab hum khinchte hain is taraf kahta hai wo chal us taraf