shikwa jo mera ashk mein dhalta chala gaya sara ghubar dil ka nikalta chala gaya raushan kiya umid ne yun jada-e-hayat har gam pe charagh sa jalta chala gaya ras aa saki sukun ko na tadbir-e-zabt-e-gham aaankhon se khun dil ka ubalta chala gaya jis par mere fareb-e-tamanna ko naz tha wo din bhi intizar mein dhalta chala gaya pichhle pahar jo shama ne khinchi ek aah-e-sard chehre ka un ke rang badalta chala gaya badhne lagi yaqin o guman mein jo kashmakash wada bhi subh o sham pe talta chala gaya wo nauha-e-alam ho ki 'nayyar' nawa-e-shauq har naghma ek saz mein dhalta chala gaya