kash sunte wo pur-asar baaten dil se jo ki thin umr-bhar baaten be-sabab tere lab nahin khamosh kar rahi hai teri nazar baaten koi samjhae aa ke naseh ko sun sake kaun is qadar baaten us ke afsane ban gae lakhon main ne jo ki thin umr-bhar baaten dam ulat jaega 'aziz' 'aziz' rah na khamosh kuchh to kar baaten