na jaane kaun is dil mein KHiraman hota jata hai

na jaane kaun is dil mein khiraman hota jata hai
ki saz-e-dil ka har naghma pareshan hota jata hai

buland itna mazaq-e-chashm-e-insan hota jata hai
jo tara tut jata hai rag-e-jaan hota jata hai

nahin qismat mein shayad lazzat-e-dard-e-mohabbat bhi
samajhta hun jise main dard darman hota jata hai

haqiqat wo hai jo nazron pe zahir hoti jati hai
wo baatil hai ki jo aankhon se pinhan hota jata hai

tamanna to tamanna hasraten bhi ab nahin baqi
sajaya tha jo dil main ne wo viran hota jata hai

mohabbat rang-o-bu ban kar chaman par chhai jati hai
har aansu zinat-e-jaib-o-gareban hota jata hai

chhupaun kis tarah raaz-e-mohabbat un ki mahfil mein
agar chup hun to aankhon se numayan hota jata hai

meri tanhai mein tanhaiyan shayad nahin hotin
tasawwur is tarah kuchh jalwa-saman hota jata hai

mohabbat dar-haqiqat 'mauj' be-payan samundar hai
jise qatra samajhta tha wo tufan hota jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close