khak ka rizq yahan har kas-o-na-kas nikla ye badan sinchne wala bada bebas nikla wo jo karta tha sada khirqa-e-darwesh ki baat wo bhi darbar mein warafta-e-atlas nikla zarfishan hai meri zarkhez zaminon ka badan zarra zarra mere punjab ka paras nikla meri hairat ko bhi tarikh mein mahfuz karo mere ahbab mein har shakhs burotas nikla titliyan pyar ki thak-haar ke laut aai hain ghuncha-e-chashm hi us shakhs ka be-ras nikla ye qalam mujrim-e-tausif-e-ghazalan 'anjum' waqt padne pe to ye fil ka aankas nikla