kar-e-wahshat mein bhi majbur hai insan ab tak hath apna hai aur apna hi gareban ab tak dhajjiyan mere gareban ki udi phirti hain gunjta hai mere naron se bayaban ab tak kab se main kunj-e-gham-e-dil mein chhupa baitha hun yaad karti hai mujhe shorish-e-dauran ab tak mere hisse mein bhi hai daulat-e-bedari-e-shab ek khalish si hai mata-e-gham-e-pinhan ab tak but-kada tut ke kabe ki bana dal gaya dil jo ujda to hai ek umr se viran ab tak tu guzargah-e-tamanna mein tha ek partw-e-mah main andheron mein bhatakta hun hirasan ab tak tu wo suraj tha ki mausam ki na thi tujh ko khabar main hun aandhi mein charagh-e-tah-e-daman ab tak mere ehsas ki garmi mere dil ki barsat sab ruten hain teri aankhon se numayan ab tak ek surat thi jo aankhon mein liye phirta hun ek wahshat thi jo rakhti hai pareshan ab tak chand yaaden hain meri zist ka hasil 'baqar' inhin yaadon ke sahaare hun ghazal-khwan ab tak