zaban-e-khalq ko chup aastin ko tar pa kar main aab-dida hawa khun ko dar-ba-dar pa kar ye kis ke qurb ki khushbu basi hai sanson mein ye mujh se kaun mila mujh ko be-khabar pa kar safar ki shart kabhi is qadar kadi kab thi thakan kuchh aur badhi saya-e-shajar pa kar wo sabz-tan tha shafaq pairahan khula us par bana gulab sa wo lams yak nazar pa kar wo na-shanas-e-tabiat hai jaanta tha main wo hairaton mein raha tegh ko sipar pa kar abhi abhi main jise dafn kar ke lauta hun bahut ajib laga us ko apne ghar pa kar