teri ulfat shoabada-parwaz hai aarzu gar hai tamanna-saz hai phir hadis-e-ishq ka aaghaz hai aaj phir goya zaban-e-raaz hai ganj-e-asrar-e-azal hai bagh-e-dahr patta patta daftar-e-sad-raaz hai jaan de di un pe aur zinda rahe apne marne ka naya andaz hai hoshiyar ai nawak-afgan hoshyar tair-e-jaan mail-e-parwaz hai rukhsat ai aql-o-khirad hosh-o-hawas shauq-e-wasl-e-yar ka aaghaz hai mere nale sun ke farmate hain wo ye usi ki dukh-bhari aawaz hai jis ko sab samjhe hain dasht-e-karbala wo to maidan-e-niyaz-o-naz hai zarre zarre mein ayan hone ke baad aaj tak raaz-e-haqiqat raaz hai aap jaanchen majma-e-ushshaq mein un mein 'bedam' sa koi jaan-baz hai