kar-gah-e-duniya ki nesti bhi hasti hai ek taraf ujadti hai ek samt basti hai be-dilon ki hasti kya jite hain na marte hain khwab hai na bedari hosh hai na masti hai kya bataun kya hun main qudrat-e-khuda hun main meri khud-parasti bhi ain haq-parasti hai kimiya-e-dil kya hai khak hai magar kaisi lijiye to mahngi hai bechiye to sasti hai khizr-e-manzil apna hun apni rah chalta hun mere haal par duniya kya samajh ke hansti hai kya kahun safar apna khatm kyun nahin hota fikr ki bulandi ya hausle ki pasti hai husn-e-be-tamasha ki dhum kya muamma hai kan bhi hain na-mahram aankh bhi tarasti hai chitwanon se milta hai kuchh suragh baatin ka chaal se to kafir par sadgi barasti hai tark-e-lazzat-e-duniya kijiye to kis dil se zauq-e-parsai kya faiz-e-tang-dasti hai didani hai 'yas' apne ranj o gham ki tughyani jhum jhum kar kya kya ye ghata barasti hai