nazm-e-hazir ka badalta hua andaz hain hum ghaur se sun ki nae daur ki aawaz hain hum jaane kab pahunchegi anjam ko tahzib-e-bashar baad sadiyon ke bhi aaghaz hi aaghaz hain hum bajti rahti hai nae git ki sargam dil mein be-nawai mein bhi bajta hua ek saz hain hum hadiya-e-gosh-e-samaat hi koi pesh kare karb-e-takhliq mein dubi hui aawaz hain hum dahr ke dil mein utarta hai jo nashtar ki tarah lab-e-fitrat ka wahi naghma-e-eajaz hain hum raat-din khulte hain asrar-e-do-alam hum se apne aalam mein magar aaj bhi ek 'raaz' hain hum