khayal-o-khwab ki baaton ko dohrane se kya hoga haqiqat samne hai jab to afsane se kya hoga khirad se jo nahin mumkin junun wo kar dikhata hai ghalat hai jo ye kahte hain ki diwane se kya hoga agar dariya mein rahna hai bahana sikh maujon se khas-o-khashak ki manind bah jaane se kya hoga isi ehsas se paida hui hai fikr-e-azadi qafas mein is tarah ghut ghut ke mar jaane se kya hoga shikasta-saz se naghme kabhi paida nahin hote tumhaari ungliyon ke shauq farmane se kya hoga diye aankhon ke donon bujh gae jab raat bhar jal kar to hangam-e-sahar yun be-hijab aane se kya hoga ata karna hai 'ehsan' bazm ko soz-e-jigar apna ba-rang-e-shama yun khamosh jal jaane se kya hoga