kar gaya sad-para jo pal mein dil-e-naKHchir hai

kar gaya sad-para jo pal mein dil-e-nakhchir hai
said-gah-e-ishq se nikla hua ek tir hai

ho gaya paiwast paikan tir-e-husn-e-yar ka
ye mera hai khwab ya aaina-e-tabir hai

qabil-e-tahsin kab thi dastan mai-khwar ki
kuchh hai saqi ka karam kuchh shokhi-e-tahrir hai

kar nahin sakte ilaj us ka tabiban-e-jahan
us mariz-e-ishq ko ye dard hi iksir hai

jis ne dekha ek nazar phir sochta hi rah gaya
kitna dilkash shakhs hoga jis ki ye taswir hai

phunk de barq-e-tapan us ke qafas ko phunk de
mubtala-e-ishq jo hai wajib-e-tazir hai

mil gaya 'gauhar' tumhein bhi zina-e-meraj-e-ishq
ghair samjhe the ki teri aah be-tasir hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close