kar ke sang-e-gham-e-hasti ke hawale mujh ko aaina kahta hai ab dil mein chhupa le mujh ko main na dariya hun na sahil na safina na bhanwar dawar-e-gham kisi sanche mein to dhaale mujh ko ek tabassum ke ewaz hech nahin jins-e-wafa hans ke jo baat kare apna bana le mujh ko itna bharpur kahan tha mere gham ka izhaar ajnabi lagte hain ab apne hi nale mujh ko main wo gul hun jo mahakta hai sar-e-shakh-e-hayat kyun koi apne gireban mein saja le mujh ko jaane kis dasht ke kanton ne pukara hai 'jalil' liye jate hain kahin panw ke chhaale mujh ko