kar lete alag hum to dil is shokh se kab ka gar aur bhi hota koi is taur ki chhab ka bosa ki ewaz hote hain dushnam se masrur itna to karam hum pe bhi hai yar ke lab ka us kan ke jhumke ki latak dekh li shayad har khosha isi tak mein rahta hai enab ka dekha jo badi der talak us ne munh apna le dast-e-hina-basta mein aaina halab ka jab hum ne kaha rakhiye ab aaina ko ye to hissa hai kisi aur bhi didar-talab ka ye sun ke udhar us ne kiya ghusse mein munh surkh bhabka idhar aaina bhi ham-sar ho ghazab ka tum rabt ke dhab jis se ladate ho 'nazir' aah wo dilbar-e-ayyar hai kuchh aur hi dhab ka