ye sitam aur ki hum phul kahen kharon ko is se to aag hi lag jae saman-zaron ko hai abas fikr-e-talafi tujhe ai jaan-e-wafa dhun hai ab aur hi kuchh tere talab-garon ko tan-e-tanha hi guzari hain andheri raaten hum ne ghabra ke pukara na kabhi taron ko na-gahan phut pade raushniyon ke jharne ek jhonka hi uda le gaya andhiyaron ko sare is daur ki munh bolti taswiren hain koi dekhe mere diwan ke kirdaron ko nala-e-akhir-e-shab kis ko sunaun 'nasir' nind pyari hai mere daur ke fankaron ko