koi nazar kisi aalam mein kaamyab nahin tilism-e-surat-o-mani tera jawab nahin nafas nafas mein agar zauq-e-inqalab nahin fareb-e-masti-e-pindar hai shabab nahin ba-qadr-e-zarf talabgar hai uruj-o-zawal zamin pe hai wahi zarra jo aaftab nahin hazar sal bhi ghaflat ke de nahin sakte us ek lamha ki qimat jo sirf khwab nahin hujum-e-shauq mein koi nazar samajh na saki shuur-e-did ki talim thi hijab nahin bara-e-afw gunahgar ki taraf jo uthe us ek nigah-e-karam ka koi jawab nahin dilon ko sinon mein dhadka ke rah gaya hai 'kaif' wo inqalab ka dhoka tha inqalab nahin