nairangiyan falak ki hain mere hi ji ke sath gham bhi isi ke sath khushi bhi isi ke sath daman chhuda ke jab wo chale be-rukhi ke sath hasrat lipat ke rone lagi be-rukhi ke sath dil chiz kya hai aur jigar ki hai asl kya mangen wo jaan bhi to main de dun khushi ke sath mujh se kabhi mile bhi to munh pher kar mile ki baat bhi unhon ne to ki be-rukhi ke sath har-waqt samna raha ranj-o-malal ka koi ghadi na guzri hamari khushi ke sath kyunkar umid ho ki bar aaega muddaa jab dekhta hun rahte hain wo muddai ke sath ghairon ko rahat aur musibat mili mujhe wo un ke ji ke sath hai ye mere ji ke sath dam bhar bhi gham-gusar na hum ko mila koi guzri tamam umr yahan be-kasi ke sath 'sabir' ka hashr hashr mein parwardigar ho ashab-o-al-e-pak-o-janab-e-nabi ke sath