kar sair apne dil ki hai nur ka tamasha han dekh ban ke musa is tur ka tamasha nazir wahi nazar bhi manzur bhi wahi hai nazzare ka hai mazhar manzur ka tamasha ye qurb buad kya hai taqrib-e-ma-siwa hai hai tark-e-ma-siwa mein ye dur ka tamasha surat ka shefta ho zahir ho harf mani mansur ki hai surat mansur ka tamasha tamir-e-waqt mein hai virani-e-wasawas viran-kade mein dekha mamur ka tamasha khum-khana ishq ka hai pir-e-mughan ki sohbat rindan-e-mast dekha makhmur ka tamasha arini-o-lan-tarani hai sirr-e-ishq 'saqi' raaz-o-niyaz mein hai mastur ka tamasha