samajh rahe the jise hum ki bewafa hoga kise khabar thi ki wo aadmi khuda hoga tumhaare pahle bhi aankhon mein intizar hi tha tumhaare baad yahi hoga aur kya hoga abhi bhi dard sa uthta hai mujh mein mumkin hai zara sa ishq meri zat mein bacha hoga main ek charagh hawa mein jala ke laut aaya phir us ke baad na jaane ki kya hua hoga yahan ki aab-o-hawa mein ajab khamoshi hai tamam shahr kisi dasht par basa hoga wahi nazare wahi log chal yahan se chalen fasil-e-shahr ke bahar to kuchh naya hoga