kar sake dafn na us kuche mein ahbab mujhe khak mein dil ki kudurat ne diya dab mujhe hijr mein pas na hai zahr na khanjar afsos na diye maut ke bhi charkh ne asbab mujhe qasid aaya hai wahan se to zara tham ai hosh baat to karne de us se dil-e-betab mujhe nam-e-taskin' pe ye mazmun-e-tapish na-zeba tha takhallus jo saza-war to betab mujhe