khulus chehron se hai numayan to phir nazar bad-guman kyon hai bata ki beganagi ka aalam mere tere darmiyan kyon hai yahan wafa ki na qadr-o-qimat na aashna-e-wafa hai koi mujhe wafa ka sila milega ye mere dil mein guman kyon hai kabhi na main us taraf se guzra na mera dast-e-talab hi phaila to phir ye rah-e-talab mein aakhir mere qadam ka nishan kyon hai har ek dar par jabin jhukana tujhe mubarak magar ye sun le jo tujh mein khuddariyan nahin hain to ishq ki aan-ban kyon hai bahut dinon mein aman mili hai khud apne sae mein aa ke mujh ko ye sochta hun ki ghar ke bahar kisi taraf saeban kyon hai na un ka jalwa na un ki yaaden na un ka chehra na un ka partaw dimagh rah rah ke puchhta hai makin nahin to makan kyon hai koi to is mein fareb hoga jise 'ziya' main samajh na paya na jaane kab se ye sochta hun wo is qadar mehrban kyon hai