karam-farma teri yaadon ke lashkar TuT jate hain

karam-farma teri yaadon ke lashkar tut jate hain
nigahon mein jo rahte hain wo manzar tut jate hain

khushi ko bantne wale bhi aksar tut jate hain
hudud-e-zabt se aage samundar tut jate hain

agar khamosh rahte hain to dil par bojh rahta hai
agar hum bolte hain kuchh to kah kar tut jate hain

mohabbat ho to rishte aur bhi mazbut ho jaen
koi bijli gire dil par to phir ghar tut jate hain

aqidat jin se hoti hai unhen puja bhi jata hai
jinhen nisbat nahin milti wo patthar tut jate hain

teri qurbat mein palte hain teri chahat mein chalte hain
teri furqat mein hum dil ke barabar tut jate hain

wafa mein jine walon ki ajab hai dastan 'anjum'
kahin wo dub jate hain kahin par tut jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close