koi pyasa na rahe aaj wo kah kar nikla

koi pyasa na rahe aaj wo kah kar nikla
abr ban kar meri basti se samundar nikla

log baadal ki tarah rah mein aae warna
main to suraj ki tarah ghar se barabar nikla

jis ne chume the mere panw bade pyar ke sath
khwab tuta to wahi aag ka bistar nikla

umr bhar ret ke sagar mein chalai kashti
aur duba to khalaon ke bhi upar nikla

kya talluq tha kisi shahr ke logon se magar
jo bhi 'anjum' se mila aaj wo ro kar nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close