kho diya main ne zarurat ke safar se kya kya ab kahun kis se gaya hai mere ghar se kya kya ek hum hi hain tahi-dast yahan se laute warna paya hai sabhi ne tere dar se kya kya zalimo hum hi nahin tum bhi yahin dekhoge le ke lautegi dua bab-e-asar se kya kya tum to masruf rahe aag hi bhadkane mein jal gaya sine mein us soz-e-jigar se kya kya phenk kar sang rahe tum to salamat lekin aaine tute hain ek jhuti khabar se kya kya katne wale tujhe us ki khabar bhi kuchh hai waste mere the us shakh-e-shajar se kya kya fath ki aas yaqin azm hunar jine ka dafn sine mein hue haar ke dar se kya kya tazkira jab bhi hua tir-e-nazar ka us ki zakhm hanste hue guzre hain nazar se kya kya le gaya kat ke ye waqt usi ko 'ashhar' moajize hone the jis dast-e-hunar se kya kya