karb-e-hasti yun chhupana chahiye

karb-e-hasti yun chhupana chahiye
ashk pi kar muskurana chahiye

mustaqil hansne ki aadat dal kar
jalne walon ko jalana chahiye

aap munsif hain to kar den faisla
kya kisi ka dil dukhana chahiye

haal par jab bojh ban jae to phir
apna mazi bhul jaana chahiye

kar ke izhaar-e-tamanna phir koi
doston ko aazmana chahiye

bil-yaqin aahon mein hota hai asar
lekin is ko ek zamana chahiye

nit-nae ilzam sar rakh kar mere
qatl ka mere bahana chahiye

sabr ek achchhi alamat hai magar
zulm se panja ladana chahiye

bar hain jis par faqat makr-o-fareb
aisi kashti dub jaana chahiye

maslahat ki zulm ne pahni naqab
rukh se ye parda hatana chahiye

manzilon ki gar hai tum ko justuju
khwab palkon par sajaana chahiye

pattharon ka shahr hai 'bebak' ye
ab alag basti basana chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close