koi surat koi tadbir nikali jae aabru ishq-o-mohabbat ki bacha li jae kaun deta hai wafaon ka wafaon se jawab ab to behtar hai ki ye rasm utha li jae fi-zamana hai yahi maslahat-e-aql-o-shuur dil mein khwahish koi ubhre to daba li jae samne bachchon ke doharao na pichhle jhagde nanhe zehnon mein ye buniyaad na dali jae mashwara mera bas itna hai nai naslon ko apne ajdad ki pagdi na uchhaali jae mere allah mujhe itna tawangar kar de dar se mere kabhi khali na sawali jae koi milta hi nahin waqif-e-adab-e-junun ab to basti hi alag apni basa li jae us taraf wo to idhar hum hain pareshan 'bebak' khwahish-e-did kisi taur na tali jae