sab yaqin bech kar sab guman bech kar main tawangar hun sud-o-ziyan bech kar jhad gae meri shakhon se barg-o-samar phir bahaaren kharidin khizan bech kar ek naya aashiyana banaunga main bar-lab-e-maikada ek makan bech kar sab bikega yahan bekasi ke siwa main abhi aa raha hun zaban bech kar apne bachchon ki rozi kamata raha wo adalat mein apna bayan bech kar mujh kasafat-zada ne gulistan mein ek naya ghar liya titliyan bech kar muflisi ruh ki ab bhi pahle si hai kya kamaya dil-e-naghma-khwan bech kar 'abdi' chup raha maslahat ke sabab kaun khush hai yahan aastan bech kar