kare dariya na pul mismar mere abhi kuchh log hain us par mere bahut din guzre ab dekh aaun ghar ko kahenge kya dar-o-diwar mere wahin suraj ki nazren thin ziyaada jahan the ped saya-dar mere wahi ye shahr hai to shahr walo kahan hain kucha-o-bazar mere tum apna haal-e-mahjuri batao mujhe to kha gae aazar mere jinhen samjha tha jaan-parwar main ab tak wo sab nikle kafan-bardar mere guzarte ja rahe hain din hawa se rahen zinda-salamat yar mere daba jis se usi patthar mein dhal kar bike chehre sar-e-bazar mere daricha kya khula meri ghazal ka hawaen le udin ashaar mere