munh pher kar wo sab se gaya bhi to kya gaya kam-bakht sare shahr ko pagal bana gaya patthar ko bolne ki adaen sikha gaya wo shakhs kaise kaise tamashe dikha gaya us ko yahan se jaane ka behad malal tha mud mud ke apne ghar ki taraf dekhta gaya duniya-e-khwab aur haqiqat ke darmiyan thoda jo fasla tha use bhi mita gaya sab jaante hue bhi main anjaan hi raha is ne samajh liya ki main dhoke mein aa gaya ye kaun de raha hai dar-e-dil pe dastaken ye kaun mere khwab ki diwar dha gaya kuchh aur puchhne ki zarurat nahin rahi halke se muskura ke wo sab kuchh bata gaya de to gaya azab-e-judai mujhe magar girhen jo dil mein thin wo unhen kholta gaya koi bhi uzr-e-lang ki surat nahin rahi lo ab tumhaare samne aaina aa gaya jis ka har ek naqsh kaf-e-pa hai aaina is rah-rau ko dhundne khud rasta gaya