yun nahin tha ki tirgi kam thi dhup se apni dosti kam thi khwahishon ke hujum the lekin apne hisse mein zindagi kam thi tum na aae to bas hua itna kal charaghon mein raushni kam thi han wo hans kar nahin mila phir bhi us ki baaton mein be-rukhi kam thi gham use bhi na tha bichhadne ka meri aankhon mein bhi nami kam thi kuchh taghaful-mizaj tha saqi aur kuchh apni pyas bhi kam thi us ka lahja to khub tha lekin us ke sheron mein shairi kam thi kyun mujhe de gaya wo sannate kya mere ghar mein khamushi kam thi