tujhe nakhl-band-e-hayat ne teri kawishon ke ye phal diye kiya khalq bagh-e-jahan mein jab to samar bhi hasb-e-'amal diye koi dhunde le ke charagh bhi na milega un ka suragh bhi kahin un ka nam-o-nishan nahin jo 'adam ko qafile chal diye jo kisi ne himmaten sarf kin to dili muraden use milin jo shikam mein khak ke the nihan wo dafine us ne ugal diye ye tilism-khana-e-dahr hai wo nazar fareb ki qahr hai hamein kya hayat-e-do-roza di jo hazar is mein khalal diye ye rawa-rawi ka maqam hai ye ajal ka shewa-e-'am hai jo libas-e-zist kahin hue to wo dam-zadan mein badal gae na gharaz mata-e-jahan se kuchh na hamara mal hai naqd-e-jaan tahi-dast aae the hum yahan tahi-dast dahr se chal diye jo maal-e-kar pe hai nazar dil-o-jaan se khidmat-e-khalq kar ki ye 'aql-o-hosh ye dast-o-pa tujhe bahr-e-husn-o-'amal diye tu hi shash-jihat mein hai zau-fishan nahin masiwa ka kahin nishan pas-e-parda ho ke 'abas nihan ye fareb-e-husn-e-azal diye na bahaar-e-khanda-e-gul hai ab na wo daur-e-saghar-e-mul hai ab na wo bagh hai na wo mai-kada ki khizan ne rang badal diye mere qalb par jo ye dagh hain na kar in ko gul ye charagh hain meri jaan shauq se le magar na bujha ye baad-e-ajal diye yahi 'barq' charkh se hai gila hamein gardishon ne mita diya jo hamare roz-e-nashat the wo shab-e-alam se badal diye