khair se dil ko teri yaad se kuchh kaam to hai wasl ki shab na sahi hijr ka hangam to hai nur-e-aflak se raushan ho shab-e-gham ki na ho chand taron se mera nama o paigham to hai kam nahin ai dil-e-betab mata-e-ummid dast-e-mai-khwar mein khali hi sahi jam to hai baam-e-khurshid se utre ki na utre koi subh khema-e-shab mein bahut der se kohram to hai jo bhi ilzam mere ishq pe aaya ho 'naim' un se wabasta kisi taur mera nam to hai