karen un se shikayat aur gila kya unhen hum ko satane se mila kya hamare qissa-e-gham ko suna kar usi gham se kisi ka dil jala kiya kiya badnam hai sare jahan mein tumhein mil jaega is ka sila kya kabhi nazar-e-inayat se na dekha sukun-e-dil hamein milta bhala kya sar-e-mahfil wo nazron ka bachana wo lamhe bhul jaenge bhala kya usi be-e'tinai ne sataya jafa sah kar rahega hausla kya hue bimar hum bar-e-nazar se karen izhaar-e-gham ab barmala kya fazaen kyon moattar ho rahi hain jahan-e-zindagi mein gul khila kya