mujhse pahle meri taswir tere hath mein hai

mujh se pahle meri taswir tere hath mein hai
aur mere khwabon ki tabir tere hath mein hai

dur hargiz na samajhna mere hamdam mujh ko
ye tasawwur nahin tanwir tere hath mein hai

sochte rahte hain har gam pe ye tarz-e-hayat
aur isbaat ki zanjir tere hath mein hai

kis tarah se ye shab-o-roz guzare hum ne
har takhayyul tera tauqir tere hath mein hai

dur hun tujh se magar sath hun sae ki tarah
ai meri zindagi taqdir tere hath mein hai

is tarah se mere dil ne kabhi socha bhi na tha
apni pahchan ki tadbir tere hath mein hai

koi paiman-e-wafa bhi na kiya tha hum ne
hun nishane pe har ek tir tere hath mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close