main sadqe tujh pe ada tere muskurane ki samete leti hai ranginiyan zamane ki jo zabt-e-shauq ne bandha tilisam-e-khuddari shikayat aap ki ruthi hui ada ne ki kuchh aur jurat-e-dast-e-hawas badhati hai wo barhami jo ho tamhid muskurane ki kuchh aisa rang meri zindagi ne pakda tha ki ibtida hi se tarkib thi fasane ki jalane wale jalate hi hain charagh aakhir ye kya kaha ki hawa tez hai zamane ki hawaen tund hain aur kis qadar hain tund 'jamil' ajab nahin ki badal jae rut zamane ki